HomeAhmad FarazAhmad Faraz Famous Shayari Best Collection 1

Ahmad Faraz Famous Shayari Best Collection 1

Ahmad Faraz Famous Shayari

Ahmad Faraz famous Shayari: Ahmad faraz was a famous urdu shayar(poet). His full name was Syed Ahmad Shah Ali.

He was born on 12 January 1931 in Pakistan and died on 25 August 2008 in Pakistan. here we are sharing some of his famous collection of two line shayaris(poetries) in both English and Hindi scripts; hope you all like this topic.

Ahmad Faraz Famous Shayari

Ahmad Faraz Famous Shayari

उस ने मुझे छोड़ दिया तो क्या हुआ ‘फ़राज़’
मैंने भी तो छोड़ा था सारा ज़माना उस के लिए

Uss ne mujhe chhod diya toh kya hua ‘Faraz’
Maine bhi toh chhoda tha sara zaman uss ke liye


उस शख्स से बस इतना सा ताल्लुक है ‘फ़राज़’
वो परेशां हो तो हमें नींद नहीं आती

Us shakhs se bas itna sa talluk hai ‘Faraz’
Wo pareshan ho to humein neend nahin aati


इतनी सी बात पे दिल की धड़कन रुक गई ‘फ़राज़’
एक पल जो तस्सवुर किया तेरे बिना जीने का

Itni si baat pe dil ki dhadkan ruk gai ‘Faraz’
Ek pal jo tasvvur kiya tere bina jeene ka


दोस्ती अपनी भी असर रखती है ‘फ़राज़’
बहुत याद आएँगे ज़रा भूल कर तो देखो

Dosti apni bhi asar rakhti hai ‘Faraz’
Bahut yaad aayenge jara bhool kar to dekho


बंदगी हम ने छोड़ दी है ‘फ़राज़’
क्या करें लोग जब ख़ुदा हो जाएँ

Bandagi hum ne chhod di hai ‘Faraz’
Kya karen log jab khuda ho jayen


दिल को तिरि चाहत पे भरोसा भी बहुत है
और तुझ से बिछड़ जाने का डर भी नहीं जाता

Dil ko tiri chahat pe bharosa bhi bahut hai
Aur tujh se bichhad jane ka dar bhi nahin jata


Ahmad Faraz Famous Shayari

Ahmad Faraz Famous Shayari Best Collection 1 1

वफ़ा की आज भी क़दर वही है ‘फ़राज’
फ़क़त मिट चुके हैं टूट के चाहने वाले

Wafa ki qadar aaj bhi wahi hai ‘Faraz’
Faqat mit chuke hain toot ke chahne wale


तुम मुझे मौका तो दो ऐतबार बनाने का ‘फ़राज’
थक जाओगे मेरी वफ़ा के साथ चलते चलते

Tum mujhe mauka to do aitbaar banane ka ‘Faraz’
Thak jaoge meri wafa ke saath chalte chalte


आँख से दूर न हो दिल से उतर जायेगा
वक़्त का क्या है गुज़रता है गुज़र जायेगा

Aankh se door na ho dil se utar jayega
Waqt ka kya hai guzrta hai guzar jayega


मैं वफ़ा का कौन सा सलीका इख़्तियार करूँ ‘फ़राज़’
उसे यक़ीन हो जाये के मुझे वो हर एक से प्यारा है

Main wafa ka kaun sa saleeka ikhtiyar karun’Faraz’
Use yaqin ho jaye ke mujhe wo har ek se pyara hai


तुम्हारी एक निगाह से क़तल होते हैं लोग ‘फ़राज़’
एक नज़र हम को भी देख लो के तुम बिन ज़िन्दगी अच्छी नहीं लगती

Tumhari ek nigaah se qatal hote hain log ‘Faraz’
Ek nazar hum ko bhi dekh lo ke tum bin zindgi achchi nahin lagti


एक नफ़रत ही नहीं दुनियां में दर्द का सबब ‘फ़राज़’
मोहब्बत भी सकूँ वालों को बड़ी तकलीफ देती है

Ek nafarat hi nahin duniya mein dard ka sabab ‘Faraz’
Mohabbat bhi sakoon walon ko badi takleef deti hai


माना कि तुम गुफ़्तगू के फ़न में माहिर हो ‘फ़राज़’
वफ़ा ले लफ्ज़ पे अटको तो हमें याद कर लेना

Mana ki tum guftagoo ke fun me mahir ho ‘Faraz’
Wafa le lafz pe atko to humein yaad kar lena


बरबाद करने के और भी रास्ते थे ‘फ़राज़’
न जाने उन्हें मुहब्बत का ही ख़्याल क्यूँ आया

Barbaad karne ke aur bhi raaste the ‘Faraz’
Na jane unhe muhabbat ka hi khyal kyun aaya


बच न सका खुदा भी मुहब्बत के तक़ाज़ों से ‘फ़राज़’
एक महबूब की खातिर सारा जहाँ बना डाला

Bach na saka khuda bhi muhabbat ke takazon se ‘Faraz’
Ek mahboob ki khatir sara jahan bana dala

RELATED ARTICLES

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Most Popular