Allama Iqbal Shayari Exclusive Poetry/Quotes-1

Allama Iqbal Shayari :

Allama Iqbal was (Born 9 November 1877-21 April 1938)a great poet, philosopher and politician of Pakistan.

Here we present the best collection of Allama Iqbal Shayari in both Hindi and English formats that will surely touch your heart.

Allama Iqbal Shayari

ढूंढता रहता हूँ ऐ ‘इक़बाल’ अपने आप को
आप ही गोया मुसाफिर, आप ही मंज़िल हूँ मैं

Dhoondhta rahta hun e ‘Iqbal’apne aap ko
Aap hi goya musafir,aap hi manzil hun main

और भी कर देताहै दर्द में इज़ाफ़ा
तेरे होते हुए गैरों का दिलासा देना

Aur bhi kar deta hai dard mein izaafa
Tere hote huye gairon ka dilaasa dena

खुदी को कर बुलंद इतना कि हर तक़दीर से पहले,
ख़ुदा बंदे से ख़ुद पूछे बता तेरी रज़ा क्या है

Khudi ko kar itna buland ki har taqdeer se pahle,
Khuda bande se khud puchhe bata teri raza kya hai

तिरे इश्क़ की इंतिहा चाहता हूँ
मिरि सादगी देख क्या चाहता हूँ

Tere ishq ki intiha chahta hun
Meri saadgi dekh kya chahta hun

सितारों के आगे जहां और भी है
अभी इश्क़ के इम्तिहां और भी है
तू शाही है परवाज़ है काम तेरा
तिरे सामने आसमां और भी है

Sitaron ke aagey jahan aur bhi hai
Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hai
Tu shahi hai parwaz hai kaam tera
Tire saamne aasman aur bhi hai….

Allama Iqbal Shayari

Allama Iqbal Shayari

फ़क़त निगाहों से होता है फैसला दिल का
न हो निगाह में शोखी तो दिलबरी क्या है

Faqat nigaahon se hota hai faisla dil ka
Na ho nigaah mein shokhi to dilbari kya hai

अपने मन में डूब कर पा जा सुराग -ए -ज़िंदगी
तू अगर मेरा नहीं बनता न बन अपना तो बन

Apne mann mein doob kar pa ja surag-e-zindgi
Tu agar mera nahin banta na ban apna to ban

नशा पिला के गिराना तो सब को आता है
मज़ा तो तब है कि गिरतों को थाम ले साकी

Nasha pila ke girana to sab ko aata hai
Maza to tab hai ki girton ko thaam le saaki

दिल से जो बात निकलती है असर रखती है
पर नहीं ताक़त -ए -परवाज़ मगर रखती है

Dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai
Par nahin taqat-e-parwaz magar rakhti hai

सारे जहां से अच्छा हिन्दोस्तां हमारा
हम बुलबुलें है इसकी ये गुलसितां हमारा

Saare jahan se achha Hindostan hamara
Hum bulbulen hai iski ye gulsitan hamara

Allama Iqbal Shayari

Allama Iqbal Shayari

दिल की बस्ती अजीब बस्ती है
लूटने वालों को तरसती है

Dil ki basti ajeeb basti hai
Lootne walon ko tarsti hai

मुमक़िन है कि तू जिसको समझता है बहारां
औरो की निगाहों में वो मौसम हो खिजां का

Mumkin hai ki tu jiskosamjhta hai baharaan
Auron ki nigaahon mein wo mousam ho khijan ka

साक़ी की मुहब्बत में दिल साफ़ हुआ इतना
जब सर को झुकाता हूँ शीशा नज़र आता है

Saaqi ki muhabbat mein dil saaf hua itna
Jab sar ko jhukata hun sheesha nazar aata hai

मंज़िल से आगे बढ़कर मंज़िल तलाश कर
मिल जाये तुझको दरिया तो समुन्दर तलाश कर
हर शीशा टूट जाता है पत्थर की चोट से
पत्थर ही टूट जाये वो शीशा तलाश कर

Manzil se aage badh kar manzil talash kar
Mil jaye tujhko dariya to samundar talash kar
Har sheesha toot jata hai patthar ki chot se
Patthar hi toot jaye wo sheesha talash kar

न रख उम्मीद-ए -वफ़ा किसी परिंदे से “इक़बाल”
जब पर निकल आते हैं तो अपना ही आशियाना भूल जाते हैं

Na rakh ummeed-e-wafa kisi parinde se “Iqbal”
Jab par ikal aate hain to apna hi aashiyana bhool jate hain

हंसी आती है मुझे हसरत-ए -इंसान पर
गुनाह करता है खुद लानत भेजता है शैतान पर

Hansi aati hai mujhe hasrat-e-insan par
Gunah karta hai khud lanat bhejta hai shaitan par