Firaq Gorakhpuri Shayari/Poetry Best Collection-1

Firaq Gorakhpuri : फ़िराक़ गोरखपुरी नज़्म और शायरी की दुनिया में एक ऐसा नाम है जो किसी परिचय का मोहताज़ नहीं है.

यहाँ हमने उनके कुछ चुनिंदा और बेहतरीन शायरी का संग्रह प्रस्तुत करने की कोशिश की है और मुझे यकीन है दोस्तों कि आप सबको ये संग्रह बहुत ही ज्यादा पसंद आएगा.

Firaq Gorakhpuri is a well known name in the world of poetry who does not need any introduction.
Here we bring some of his best shayari collections. I am sure friends you all like this Firaq Gorakhpuri Shayari collection very much

.Firaq Gorakhpuri Shayari

Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri Shayari

बहुत पहले से उन क़दमों की आहट जान लेते हैं
तुझे ऐ ज़िन्दगी हम दूर से पहचान लेते हैं

Bahut pahle se un kadmo ki aahat jaan lete hain
Tujhe aye zindagi hum door se pahchan lete hain

हज़ार बार ज़माना इधर से गुज़रा है
नई नई सी है कुछ तेरी रहगुज़र फिर भी

Hazaar baar zamana idhar se guzra hai
Nayi nayi si hai kuchh teri rahguzar phir bhi

आये थे मय-ख़ाने में हँसते खेलते फ़िराक़
जब पी चुके शराब तो संजीदा हो गए

Aaye the hanste khelte may-khane mein Firaq
Jab pee chuke sharaab to sanjeeda ho gaye

Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri Shayari

तुम मुख़ातिब भी हो करीब भी हो
तुम को देखें कि तुम से बात करें

Tum mukhatib bhi ho kareeb bhi ho
Tum ko dekhen ki tum se baat karen

अब आ गए हैं आप तो आता नहीं है याद
वर्ना कुछ हम को आप से कहना ज़रूर था

Ab aa gaye hain aap toh aata nahin hai yaad
Warna kuchh hum ko aap se kahna zaroor tha

साँस लेती है वो ज़मीन फ़िराक़
जिस पे वो नाज़ से गुज़रते हैं

Saans leti hai woh zameen firaq
Jis pe woh naaz se guzarte hain

Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri Shayari

खो दिया तुम को तो हम पूछते फिरते हैं यही
जिस की तक़दीर बिगड़ जाये वो करता क्या है

Kho diya tum ko toh hum poochhte firate hain yahi
Jis ki taqdeer bigad jaye woh karta kya hai

एक मुद्दत से तिरी याद भी आई न हमें
और हम भूल गए हों तुझे ऐसा भी नहीं

Ek muddat se tiri yaad bhi aai na humein
Aur hum bhool gaye hon tujhe aisa bhi nahin

कोई आया न आएगा लेकिन
क्या करें गर न इंतज़ार करें

Koi aaya na aayega lekin
kya karen gar na intizar karen

Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri Shayari

तबीअत अपनी घबराती है जब सुनसान रातों में
हम ऐसे में तिरी यादों की चादर तान लेते हैं

Tabiat apni ghabrati hai jab sunsaan raaton mein
Hum aise mein tire yaadon ki chadar taan lete hain

कोई समझे तो एक बात कहूं
इश्क़ तौफ़ीक़ है गुनाह नहीं

Koi samjhe toh ek baat kahoon
Ishq toufiq hai gunah nahin

तेरे आने की क्या उमीद
मगर कैसे कह दूँ कि इंतिज़ार नहीं

Tere aane ki kya umeed
magar kaise kah doon ki intizar nahin

Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri Shayari

ये माना ज़िंदगी है चार दिन की
बहुत होते हैं यारो चार दिन भी

Ye maana zindagi hai chaar din ki
Bahut hote hain yaaro chaar din bhi

रफ़्ता रफ़्ता ग़ैरअपनी ही नज़र में हो गए
वाह-री ग़फ़लत तुझे अपना समझ बैठे थे हम

Rafta rafta gair apni hi nazar mein ho gaye
Waah-ree gafalat tujhe apna samajh baithe the hum

जो उलझी थी कभी आदम के हाथों
वो गुत्थी आज तक सुलझा रहा हूँ

Jo ulajhi thi kabhi aadam ke haathon
Woh gutthi aaj tak suljhaa raha hoon

Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri Shayari

गरज़ कि काट दिए ज़िन्दगी के दिन ऐ दोस्त
वो तेरी याद में हों या तुझे भुलाने में

Garaz ki kaat diye zindagi ke din ae dost
Woh teri yaad mein hon ya tujhe bhulaane mein

हम से क्या हो सका मोहब्बत में
ख़ैर तुम ने तो बेवफाई की

Hum se kya ho saka mohabbat mein
khair tum ne toh bewafai ki

न कोई वादा न कोई यकीं न कोई उमीद
मगर हमें तो तिरा इंतिज़ार करना था

Na koi vaada na koi yaqin na koi umeed
Magar humen to tira intizar karna tha

Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri Shayari

अगर बदल न दिया आदमी ने दुनियाँ को
तो जान लो की यहाँ आदमी की खैर नहीं

हर इन्किलाब के बाद आदमी समझता है
कि इसके बाद न फिर लेगी करवटें ये ज़मीं

Agar badal na diya aadmi ne duniyan ko
To jaan lo ki yahan aadmi ki khair nahin

Har inqilab ke baad aadmi samjhata hai
Ki iske baad na phir legi karvaten ye zameen

अब तो उनकी याद भी आती नहीं
कितनी तन्हा हो गईं तन्हाइयाँ

Ab to unki yaad bhi aati nahin
kitni tanha ho gayin tanhaian

कम से कम मौत से ऐसी मुझे उम्मीद नहीं
ज़िंदगी तू ने तो धोके पे दिया है धोका

Kam se kam mout se aisi mujhe ummid nahin
Zindagi tu ne to dhoke pe diya hai dhoka

Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri Shayari

हो जिन्हे शक़ वो करें और खुदाओं की तलाश
हम तो इंसान को दुनिया का खुदा कहते हैं

Ho shaq jinhe woh karen aur khudaon ki talash
Hum to insaan ko duniya ka khuda kahate hain

बहुत दिनों में मोहब्बत को ये हुआ मालूम
जो तेरे हिज्र में गुज़री वो रात रात हुई

Bahut dinon mein mohabbat ko ye hua maloom
Jo tere hijr mein guzri woh raat raat hui

तुम इसे शिकवा समझ कर किस लिए शरमा गए
मुद्दतों के बाद देखा था तो आँसू आ गए

Tum ise shikva samajh kar kis liye sharma gaye
Muddaton ke baad dekha tha to aansoo aa gaye

Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri Shayari

इक उम्र कट गई है तिरे इंतिज़ार में
ऐसे भी हैं कि कट न सकी जिन से एक रात

Ik umr kat gayi hai tire intizar men
Aise bhi hain ki kat na saki jin se ek raat

जिस में हो याद भी तिरी शामिल
हाए उस बे-ख़ुदी को क्या कहिए

Jis men ho yaad bhi tiri shamil
haye us be-khudi ko kya kahiye

असर भी ले रहा हूँ तेरी चुप का
तुझे क़ाइल भी करता जा रहा हूँ

Asar bhi le raha hun teri chup ka
Tujhe qaail bhi karta ja raha hun

Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri Shayari

वक़्त-ए -पीरी दोस्तों की बे-रुख़ी का क्या गिला
बच के चलते हैं सभी गिरती हुई दीवार से

Waqt-e-piri doston ki be-rukhi ka kya gila
Bach ke chalte hain sabhi girti hui deewar se

ज़िंदगी क्या है आज इसे ऐ दोस्त
सोच लें और उदास हो जाएँ

Zindagi kya hai aaj ise aye dost
Soch len aur udaas ho jayen

सर-ज़मीन-ए-हिंद पर अक़्वाम-ए-आलम के फ़िराक़
क़ाफ़िले बसते गए और हिन्दोस्ताँ बनता गया

Sar-zameen-e-hind par aqwam-e-aalam ke Firaq
Qafile baste gaye aur hindostan banta gaya

बद-गुमाँ हो के मिल ऐ दोस्त जो मिलना है तुझे
ये झिझकते हुए मिलना कोई मिलना भी नहीं

bad-guman ho ke mil aye dost jo milna hai tujhe
Ye jhijhakte huyw milna koi milna bhi nahin

ये भी पढ़ें (Read this also) :

गुलज़ार साहब की नायाब शायरी (best shayari collection of Gulzar sahab)
मिर्ज़ा ग़ालिब के बेहतरीन चुनिंदा शेर (Best and selected shayari of Mirza Ghalib)

Leave a Comment