Dard Bhari Shayari
Dard Bhari Shayari is a form of sad poetry, that allows a person to express his pain and sad feelings.Here we are providing a big collection of sad or Dard shayari in english and hindi script.
If you are looking for sad and broken heart shayari then you are in right place.You can share or send in any social networking site or use as your status.
तेरे ना होने से बस इतनी सी कमी रहती है
लाख मुस्कुराओ आँखों में नमी सी रहती है
Tere na hone se bas itni si kami rahati hai
Laakh muskurao aankhon mein nami si rahati hai
इतनी ठोकरे देने के लिए शुक्रिया ए ज़िन्दगी
चलने का न सही सम्भलने का हुनर तो आ गया
Itni thokre dene ke liye shukriya ae zindagi
Chalne ka na sahi smbhlne ka hunar to aa gaya
दर्द की भी अपनी एक अदा है
वो सहने वालों पर ही फ़िदा है
Dard ki bhi apni ek ada hai
Wo sahne walon par hi fida hai
बहुत कुछ बदला है मैंने अपने आप में,लेकिन
तुम्हे टूट कर चाहने को वो आदत अब तक नहीं बदली
Bahut kuchh badla hai maine apne aap men,lekin
Tumhe toot ke chahne ki wo aadat ab tak nahin badli
दर्द से हमारा रिश्ता पुराना रहा
हर कदम एक नया फ़साना रहा
कहे तो किसे कहे ये दिल अपना
यहाँ तो हर एक अपना बेगाना रहा
Dard se hamara rishta purana raha
Har kadam ek naya fasana raha
Kahe to kise kahe ye dil apna
Yahan toh har ek apna begana raha
तू वो ज़ालिम है जो दिल में रहकर भी मेरा ना बन सका
और दिल वो काफिर है जो मुझ में रहकर भी तेरा हो गया
Tu wo zalim hai jo dil mein rahkar bhi mera na ban saka
Aur dil wo kafir hai jo mujh mein rahkar bhi tera ho gaya
बाज़ी-ए -मोहब्बत में हमारी बदकिस्मती तो देखो
चारो इक्के थे हाथ में, और एक बेगम से हार गए
Bazi-e-mohabbat mein hamari badkismati to dekho
Charo ikke the haath mein,aur ek begum se haar gaye
आज उस ने एक दर्द दिया तो मुझे याद आया
हम ने ही तो दुआओं में उसके सारे दर्द मांगे थे
Aaj uss ne ek dard diya toh mujhe yaad aaya
Ham ne hi toh duaon mein uske saare dard mange the
Dard Shayari
कुछ किस्से दिल में कुछ कागज़ों पर आबाद रहे
बताओ कैसे भूलें उसे जो हर सांस में याद रहे
Kuchh kisse dil mein kuchh kagzon par aabad rahe
Batao kaise bhoolen usse jo har saans mein yaad rahe
दिल-ए -गुमराह को काश ये मालूम होता
प्यार तब तक हसीन है,जब तक नहीं होता
Dil-e-gumrah ko kaash ye maloom hota
Pyar tab tak haseen hai,jab tak nahin hota
गुनाह किये होते तो माफ़ भी हो जाते साहेब
खता तो हम से ये हुई के उन से इश्क़ हो गया
Gunah kiye hote toh maaf bhi ho jate saheb
Khata toh ham se ye hui ke un se ishq ho gaya
वो करते हैं नज़र अंदाज़ तो
बुरा मत मान ऐ दिल
टूट कर चाहने वालों को सताना
रिवाज है मोहब्बत का
Woh karte hai nazarandaz toh
Bura mat maan e dil
Toot kar chahne walon ko satana
Riwaj hai mohabbat ka
हँसी ने लबों पे थिरकना छोड़ दिया
ख्वाबों ने पलकों पे आना छोड़ दिया
नहीं आती अब तो हिचकियाँ भी
शायद आप ने भी याद करना छोड़ दिया
Hansi ne labon pe thirkana chhod diya
Khwabon ne pallkon pe aana chhod diya
Nahin aati ab toh Hichkiyan bhi
Shayad aap ne bhi yaad karna chhod diya
हम ने मोहब्बत के नशे में आकर उसे खुदा बना डाला
होश तब आया जब उस ने कहा खुदा किसी एक का नहीं होता
Ham ne mohabbat ke nashe me aakar usse khuda bana dala
Hosh tab aaya jab uss ne kaha khuda kisi ek ka nahin hota
लमहो का इश्क़ नहीं सदियों की इबादत है
कैसे करें शिकायत,हर सांस में तेरी चाहत है
Lamho ka ishq nahin sadiyon ki ibadat hai
Kaise karen shikayat,har saans mein teri chahat hai
यूँ तो हर एक दिल में दर्द नया होता है
बस बयाँ करने का अंदाज़ जुदा होता है
कुछ लोग आँखों से दर्द को बहा लेते हैं
और किसी की हँसी में भी दर्द छुपा होता है
Yun toh har ek dil mein dard naya hota hai
Bas bayaan karne ka andaaz juda hota hai
Kuchh log aankhon se dard ko baha lete hain
Aur kisi ki hansi mein bhi dard chhupa hota hai